Shikayatein by Amitabh Bhattacharya (2013)

2 views

Shikayatein mitaane lagi
Subah bedag hai, subah bedag hai
Jo barf ko galane lagi
Kahin to aag hai, kahin to aag hai

Naa udne ki iss dafaa thaani
Parindo ne bhi wafaa jaani
Andhere ko baahon mein leke
Ujaale ne ghar basaya hai
Churaya tha jo chukaya hai

Shikayatein mitaane lagi
Subah bedaag hai
Jo barf ko galane lagi

Ek jeet tu hai, ik haar main hoon
Haar jeet jode, jo taar main hoon
Ek jeet tu hai, ek haar main hoon..

Bataayein bin galtiyaan ginayein
Sitaare jab bhi sadaa, sulaayein
Luteron ko baghban banaayein
Nasibon ki baat hai
Nasibon ki baat hai..

Zameer ki kahani hai yeh
Yehi bairaag hai, yehi bairaag hai..
Shikayatein mitaane lagi

Naa udne ki iss dafaa thani
Parindo ne bhi wafaa jaani
Andhere ko baahon mein leke
Ujaale ne ghar basaaya hai
Churaya tha jo chukaaya hai

Shikayatein mitaane lagi
Subah bedaag hai
Subah bedaag hai…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply