Rozaana by Salim Merchant (2011)

0 views

Har pal hai jawan, har lamha haseen hai
Jahan hum hain wahan koi gumm nahin hai
Yeh jo hai zindagi, khushiyon mein doobi hai
Hum toh yunhi jeetay hain

Rozaana, subah leke aati hai roshni
Rozaana, hai shaam laati dilkashi
Jaagi si zindagi hai, yeh gaati zindagi hai
Jaagi si zindagi hai, rozana
Rango ki baarishein hai,
Aisi nawazishein hain
Rango ki baarishein hai, rozaana

Dil chahta hai har pal muskraane ko
Koi dhun haule haule gungunaane ko
Jo bhi mila hai usko dost hi samjho
Zindagi jashn hai jaise manaane ko
Jo bhi suna usse khushkhabri jaana
Woh o khushiyon ko humne pehchaana, rozaana

Rozaana, subah leke aati hai roshni
Rozaana, hai shaam laati dilkashi
Yehi hai kahaani apni, yehi zindgaani apni
Yehi hai kahaani apni, rozaana
Rango ki baarishein hai, aisi nawazishein hain
Rango ki baarishein hai, rozaana
/

Phoolon mein khushboo, kaliyon mein rang jaise
Hum mein hai, jeenay ki ik umang jaise
Umeedon ki hai buji ragini si
Dil mein hai har nayi ik tarak jaise
Sapno ka jahaan hai jaana pehchaano
Ik naya hai sapna dekha rozaana

Rozaana, subah leke aati hai roshni
Rozaana, hai shaam laati dilkashi
Bas hai yehi tamasha, har pal hai yeh aasha
Bas hai yehi tamasha, rozaana
Rango ki baarishein hai, aisi nawazishein hain
Rango ki baarishein hai, rozaana…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply