Meethi Boliyaan by Mili Nair (2013)

3 views

Kuch lamhe the
Alsaaye se, bharmaaye se fiza mein
Kabhi sehme se, muskaaye the
Jaana kidhar na jaane

Meethi boliyaan sun lo
Aasmani rangon ki
Meethi boliyaan sun lo
Bezubaani lamhon ki
Girte sambhalte chalte ladkhadaye
Haan magar ye honsla na dagmagaye
Armaano ke patang ko udaayein
Udaayein..

Aye zindagi
Humein sobaton ka nasha hai
Yeh sobatein yaaron ki
Aye zindagi
Humein hosh ki na tu dava de
Duaa de, duaa de

Meethi boliyaan sun lo
Aasmani rangon ki
Meethi boliyaan sun lo
Bezubaani lamhon ki

Sapnon ke peechhe ye chale,
Raahon mein hai yaadon ka pehra
Sulga ke kaali si raat
Layenge ye ujla savera
Ujla savera.. Ujla savera..
Ujla savera.. Ujla savera..

Girte sambhalte chalte ladkhadaye
Haan magar ye honsla na dagmagaye
Armaano ke patang ko udaayein
Udaayein..

Aye zindagi
Humein sobaton ka nasha hai
Yeh sobatein yaaron ki
Aye zindagi
Humein hosh ki na tu dava de
Duaa de, duaa de

Meethi boliyaan sun lo
Aasmani rangon ki
Meethi boliyaan sun lo
Bezubaani lamhon ki…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply