Maula by Hamza Faruqui – Krishna (2010)

1 view

Maula… Maula…
Maula… Maula…

Maula! Samjha De Inhain Maula
Tu Ne Na Bhaid Yeh Khola
Ke Yeh Hain Bhool Bhulaiyyaan

Sajde Karain? Ke Dar Se Darain
Ke Tasbeeh Parhain? Ke Har Su Laren?
Ke Bhatke Huwe Hai Bande Tere
Tu Dikhla De Raah Kis Pe Barhain?
Jab Zikr Khuda Ka Aata Hai
Sun Ke Bechain Yeh Laata Hai
Karde Tu Karam, Kya Jaata Hai

Maula! Samjha De Inhain Maula
Tu Ne Na Bhaid Yeh Khola
Ke Yeh Hain Bhool Bhulaiyyaan

Maula… Maula… Maula…
Maula… Maula… Maula…
Samjha De
Uljhe Hain, Suljha De…

Marham Ki Talaash Mein Dekho
Nasoor Miley Jo Mujh Ko
To Zakhm Hi Doonga Main To
Ab Saansain Bhi Jab Leta Hun
Nafrat Ko Hawa Deta Hun
Mar Mar Ke Yahaan Jeeta Hun

Jab Zikr Khuda Ka Aata Hai
Sun Ke Bechain Yeh Laata Hai
Karde Tu Karam, Kya Jaata Hai

Maula! Samjha De Inhain Maula
Tu Ne Na Bhaid Yeh Khola
Ke Yeh Hain Bhool Bhulaiyyaan

Yeh Hi Ilteja Hai, Meri Yehi Dua Hai
Kisi Par Bhi Na Guzre Jo Yun Saha Hai
Mera Arsh Arsh Tera Farsh Maula
Yeh Hi Arz Arz Main Ne Kiya Hai
Tu Hai Paak Paak, Main Hun Khaak
Yeh Bhi Maana Main Ne Mujh Pe Teri Panaah Hai
Mere Ashk Ashk Yeh Hi Keh Rahe Hain
Meri Saans Saans Mujh Pe Saza Hai

Allah Ke Banday… Allah Ke Banday…

Jab Zikr Khuda Ka Aata Hai
Sun Ke Bechain Yeh Laata Hai
Karde Tu Karam, Kya Jaata Hai

Maula! Samjha De Inhain Maula
Tu Ne Na Bhaid Yeh Khola
Ke Yeh Hain Bhool Bhulaiyyaan


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply