Main Tujhse Pyaar Nahin Karta (Male) by Papon (2015)

8 views

Main tujhse pyar nahi karta
Main tujhse pyar nahi karta
Par koi aisi sham nahin
Jab main apni tanhayee mein
Tera intezar nahin karta

Main tujhse pyaar nahin karta
Dil se ye kehta rehta hoon
Par teri saanson mein chhup ke
Main saansein leta rehta hoon
Iss se inkaar nahin karta
Main tujhse pyaar nahin karta

Mujhe kuch bhi yaad nahi rehta
Kab din dooba, kab raat huyi
Abhi kal ki baat hai
Pehron tak meri deewaaron se baat huyi
Jo hosh zaraa sa baaki hai
Lagta hai khone waala hoon
Afwaah udi hai yaaron mein
Main paagal hone waala hoon
Main tujhse pyaar nahin karta

Main tujhse pyaar nahi karta
Main tujhse pyaar nahi karta
Par aisa koi din hai kyaa
Jab yaad tujhe teri baaton ko
Sau sau baar nahi karta
Sau sau baar nahi karta…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply