Khaabon Ke Parinday by Alyssa Mendonsa (2011)

2 views

Ude, khule aasman mein khwaabon ke parinde
Ude, dil ke jahaan main khwaabon ke parinde
Oho, kya pata, jayenge kahan
Khule hain jo pal, kahe yeh nazar
Lagta hai ab hai jaage hum
Fikrein jo thi, peeche reh gayi
Nikle unse aage hum
Hawa mein beh rahi hai zindagi
Yeh hum se keh rahi hai zindagi
Oho ab toh, jo bhi ho so ho

Ude, khule aasaman mein khwaabon ke parinde
Ude, dil ke jahaan main khwaabon ke parindae
Oho kya pata, jaayenge kahan
Kisi ne chua toh yeh hua
Phirte hai mehke mehke hum
Khoyi hain kahin baatein nayi
Jab hain aise behke hum
Hua hai yun ke dil pighal gaye
Bas ek pal mein hum badal gaye
Oho ab toh, jo bhi ho so ho
/

Roshni mili
Ab raah mein hai ik dilkashi si barsi
Har khusi mili
Ab zindagi pe hai zindagi si barsi
Ab jeena humne seekha hai

Yaad hai kal, aaya tha woh pal
Jisme jadoo aisa tha
Hum ho gaye jaise naye
Woh pal jaane kaisa tha
Kahe yeh dil ke jaaun dil ki tu
Jahan bhi leke jaaye aarzoo
Oho ab toh, jo bhi ho so ho, jo bhi ho so ho
Ude, jo bhi ho so ho
Ude, jo bhi ho so ho…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply