Kashmir Main Tu Kanyakumari by Sunidhi Chauhan (2013)

3 views

Chipak chipak ke chalti hain
Kabhi kabhi do raahein
Jude jude kuch aise ki laga ho jaise gum
Double double hoti thi jo kabhi kabhi takleefein
Kisi ke sang mein chalne se huyi half se kum
Ho tera mera, mera tera
Tera era, mera tera kissa atrangi
Kabhi kabhi chalti hai
Kabhi kabhi rukti kahani bedhangi

Kashmir main tu kanyakumari
North south ki kat gayi dekho doori hi saari
Kashmir tu main kanyakumari
Fifty fifty har situation mein hissedari

Ek taraf to jagda hai, saath phir bhi tagda hai
Do kadam chalte hain to lagta hai aath hain
Do tarah ke flavour, sau tarah ke tevar
Darbadar firtein hain ji phir bhi apni thaath hai

Kabhi kabhi chale seedhe, kabhi mud jaayein
Kabhi kabhi kahin tootein, kahin jud jaayein
Hum sham sahar ke, chaaron pahar ke
Mood mein dhal jaayein

Kashmir main, tu kanyakumari
Uttar ne dakshin ko aflatoon aankh maari
Kashmir tu, main kanyakumari
Tel bechne jaaye toh phir yeh duniya saari
Hey hey..

Main zara sa puncture to tu hawa ke jaisi hai
Sath ho to pahiye taqdeeron ke tight ho
Bulb ban jaaun main aur tu switch ban jaa
Bhaad mein jaaye duniya apni batti light ho

Kabhi kabhi chale seedhe kabhi mud jaayein
Kabhi kabhi paidal kabhi ud jaayein
Humein dekh zamane walon ki
Chaahe naak sikud jaye

Kashmir main, tu kanyakumari
Halke fulke packet mein dekho mushkil bhari
Kashmir tu, main kanyakumari
Hindi mein gustakhi hai to english mein sorry

Chipak chipak ke chalti hain
Kabhi kabhi do raahein
Jude jude kuch aise ki laga ho jaise gum
Doubledouble hoti thi jo kabhi kabhi takleefein
Kisi ke sang mein chalne se huyi half se kum

Ho tera mera, mera tera
Tera mera, mera tera kissa atrangi
Kabhi kabhi chalti hai
Kabhi kabhi rukti kahani bedhangi

Kashmir main, tu kanyakumari
North south ki kat gayi dekho doori hi saari
Kashmir tu, main kanyakumari
Fifty fifty har situation mein hissedari…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply