Hum Jee Lenge by Mustafa Zahid (2013)

10 views

Aa aa ha aa aa…
Ae mere dil ka jaana
Ek aakhri faisala hai
Ab saath hoga na tera,
Yeh dard ki imtihaan hai
Tha pyaar tera to jhootha
Sacha magar yeh khuda hai
Tanhaiyon me hoon roya
Tab jake mujhko mila hai
Duniya ke rishto me toh
Yeh hota hi raha hai
Laila aur majnu bhi to
Ek-dusre se juda hai

Tanhayee ka ashk mitaye yahaan
Barbaddiya bhi sabko
Jaane mili hai kaha
Tere bina hum jee lenge
Phir kyun rahe koi geele
Tere bina hum seh lenge
Woh zakhm jo tujhse mile

Hai rut nayi mausam naya
Is daur me kaisi wafa
Bhar jayengi teri kami
Mil jayega abb kuch naya

Haan khush hain ab hum to
Tujhse kahan hum khafa hai
Tune chuna hai woh rasta
Tere liye jo banaa hai
Ehsaan tera main manu
Tanha mujhe jo kiya hai
Jo pyar tera hai khoya
Lagta hai khudse mila main
Kisko mila sang umar bharka
Wohi rulaye dil chahe jisko sada

Tere bina hum jee lenge
Phir kyun rahe koi geele
Tere bina hum seh lenge
Woh zakhm jo tujhse mile

Tere bina hum jee lenge
Phir kyun rahe koi geele
Tere bina hum seh lenge
Woh zakhm jo tujhse mile

Tere bina hum jee lenge…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply