Abhi Abhi by K K (2012)

0 views

Abhi abhi toh mile ho
Abhi naa karo chhutne ki baat
Abhi abhi toh pasand aaye ho
Abhi abhi roothne ki baat

Abhi abhi toh roshni aayi
Abhi naa karo munh chhupane ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai
Abhi abhi tham jane ki baat

Hum toh haare mahiya re
Moonde naina, neend tihare
Hum toh haare mahiya re
Moonde naina, neend tihare

Teri bajuon mein meri chahatein samaye
Teri dhadkano ko meri dhadkanein sunaaye
Teri khawahisho se meri khawahishein riha hain
Teri karvaton se meri dastaan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon hum nawa

Abhi abhi dil ki suni hai
Abhi na karo zamaane ki baat
Abhi abhi baatein rooki hain
Abhi abhi dohraane ki baat

Abhi abhi aawaragi aayi
Abhi na karo sambhlane ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai
Abhi abhi tham jane ki baat
/

Woh subah toh, bewajah ho
Ke guzre bin tumhare jiski raat
Woh subah toh, bewajah ho
Ke guzre bin tumhare jiski raat

Teri bajuon mein meri chahatein samaye
Teri dhadkano ko meri dhadkanein sunaaye
Teri khawahisho se meri khawahishein riha hain
Teri karvaton se meri dastaan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon hum nawa

Hum toh haare mahiya re
Moondein naina neend tihare
Hum toh haare mahiya re
Moonde naina neend tihare…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply